Register digital karein, hisaab rakhein, purani file seconds mein dhoondhein — sab Hindi mein aur bina internet ke. Smart Office Hub saalana license par — koi monthly fees nahi. Baaki apps free.
Har kaam ke liye ek dedicated app — kuch bilkul free, paid app saalana license par
Office ke register, files aur letters — sab ek jagah, Hindi mein
Ghar ya dukaan ka roz ka kharcha — phone par hisaab
Dukaan ya business ka khata-bahi — udhaar aur lena-dena
3 aasaan steps mein aapka software tayaar
Jo app chahiye woh select karo aur "Buy Now" dabao. Apna naam, email aur phone bharo.
UPI, Card, Net Banking ya Wallet — jo bhi easy lage. Razorpay se secure payment.
Turant download link aur license key milegi. Install karo, key daalo — shuru ho jao!
Bade daawe nahi — jo cheezein sach mein aapko milti hain
30 din ka poora free trial — koi card nahi, koi payment nahi. Apne asli kaam par chala kar dekhiye, tabhi faisla kijiye.
Koi cloud nahi, koi server nahi. Aapka record aapke apne PC par rehta hai — hum use dekh bhi nahi sakte.
Koi call-center nahi. Problem ho to email kijiye — jawab wahi deta hai jisne software banaya hai.
Ek chhoti team jo roz ke office aur ghar ke kaam ke liye aasan, Hindi-first apps banati hai.
Hamara maanna hai ki achha software mehenga ya mushkil nahi hona chahiye — isliye apps Hindi mein hain, bina internet ke chalte hain, aur aapka data aapke paas rehta hai.
Koi sawaal ho to seedha likhiye — jawab wahi log dete hain jo app banate hain.
Humse Baat Karein →Aur kuch poochna hai toh email karo